Saturday 24 March 2012



yeh waqt bhi guzar jaiga 
mausam bhi badal jaiga
socha tha kabhi aisa bhi 
sochte hain abhi aise hi 
yah waqt guzar jaiga 

Tuesday 14 February 2012


ek sapna mera bhi
kal rat chuke chupke
sab se chpte chipte
hamne ek sapna dekha
hamne ek apna dekha
APNA!!!!!!!!!!!!!
darya k suthre pani mai
samandar ki charti lahro mai
jharne ki kal kal awazo mai
hamne ek apna dekha
APNA!!!!!!!!!!i
mitti ki sondhi khushboo mai
pathrili si is zameen mai
registan ke tibboo mai
koi apna dekha
APNA!!!!!!!!!!!!! FAQT EK SAPNA ...........................SAPNA JO KABHI SACH NHI HOTA ................. pari poetry jiski sanso mai basi

Is raat ki.. tanhaeeyo ke
Sab rang bdal gaye hai
Chand nikla hai waise hi
Andhere badal gaye hai
Jinke bharose thi khusiyan
Wo badal gaye hain
Manzile to abb bhi wo hi hain
Kuch rastay badal gaye hain
Jinpe kiya tha bharosa humne
Wo dost bicharr gaye hain
Dekhe thay kabhi jo humne
Wo kahwab badal gaye hain
Jo banay thay kabhi hamsafar
Aaj wo hi mukarr gaye hain
Ais tutay huye dil kay saray..
jazbaat badal gaye hain
Na badle kabhi hum
Na badle hamaray khayalat
Bas rona hai yahi......
KUCHH
LOG BADAL GAYE HAIN ..

mera bhi ek sapna hai


Bachpan Se Mera Bhi Ek Sapna Tha
Aur Kuch Nahi Bas Yehi Apna Tha
Ki Main Bhi Bada Hokar Karun Kisi Se Pyaar
Nahi To Ho Jayega Mera Ek Jeewan Bekaar
Pichle 6 Janam Yaad Hai Maine Kuch Nahi Kiya
Ab Kaise Karta Bhla Main To Aise Hi Darr Ka Jiya
Main Nahi Chahta Ki Mera Dil Mujhe Iss Janam Main Bhi Gaali De
Aul Log Uda Kar Mera Majaak Ek Dusre Ko Taali De
Iss Janam Main Jaise Hi Woh Mujhe Najar Aayegi
Jiss Par Jaake Meri Najar Tehar Jaayegi
Main Uske Paas Jaker Kahunga Aa Ma Aa So Hum
Iss Tarah Main Kab Uss Tak Pahunchunga
Hey Bhagwaan Ek Kaam Hi Kar De
Usse Mujh Tak Pahunchaane Ke Liye Usko Ladka Aur Mujhe Ladki Bana De
Lekin Mujhe Sirf Aur Sirf Ek Baar Usse Mila De